Monday 6 June 2011

By Naveen



Kaliyaan sab phool bani dekho ajab nazaare hain,
Dharti par aaj swyam bhagwan hamare padhare hain,

Bin dhanush, bina pankhi, bin mukut ye aaye hain,
Sunder darshan phir bhi, sabke man ko harshaye hain,
Brahma Vishnu chipkar dekhe yeh nazaare hain,
Dharti par aaj swyam bhagwan hamare padhare hain,

Kaliyaan sb phool bani dekho ajab nazaare hain,
Dharti par aaj swyam bhagwan hamare padhare hain.

Suraj bhi kirnon sang darshan karne aaya hai,
Chanda bhi khushiyon se khil  aaj muskaya hai,
Ambar ka har tara bhi jai - jaikaar pukare hai,
Dharti par aaj swyam bhagwan hamare padhare hain,

Kaliyaan sb phool bani dekho ajab nazaare hain,
Dharti par aaj swyam bhagwan hamare padhare hain.

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.