Saturday, 25 June 2011

Aam Sansari aur Bhaktivaan by Mangat Rai Bhagat ji

Shri Satguru Devai Namah

Dandot Vandan anek bar Sarv kala Samrth,
Dolan te rakho Prabhu, Nanak de kar Hath.

BOLO JAIKARA BOLO MERE SHRI GURUMAHARAJ JI KI JAI

Satpurushon ke kuch Vachan evam thodi vyakhya niche di jarahi hai.

Gur Bani me ek jagah likha hai ;-

Mayadhari ati anna bola, Sabad na sunai bahu rol ghachola.
Gurmukh jape sada liv laye,Hari Naam sun mane Hari Naamsamaye.
Jo Tis bhave so kare karaya, Nanak vajda jantr vajaya.

Yani ki maya ke prabhav se sansari vichar jeev ko bahutbaharmukhi bana dete hain.
Wo bahut uljha hua rehta hai. Uski sach dekhne sunne kitakat khatam ho jati hai. Jiski vajah se bolta to bahut hai. Ander se behadconfused aur pareshaan rehta hai.

Agar sobhagya se wo Satpurushon ki Charan Sharan me aa jatahai , aur andermukh hone ki taraf badhta hai to wo sewa bhakti karke sumiran mejudne lagta hai.. Dheere dheere use ander ka shabad sunai dene lagta hai. Uski Naamme liv lag jati hai aur wo Naam me hi sama jata hai. Phir use duniya ke kamo kichinta nahi satati. Kam Satpurushon ki Kirpa se uske sharer rupi yantr seautomatically hote rehte hain. Uski surti bhi shabad ki dhun se judi rehti hai.

Lekin iske liye samarpan uche darje ka bane aur Vishesh ShriKirpa ho tabhi baat banti hai. Aatma aur Parmatma yugo se bichude hain aur ekdusre se alag hue pade hain

Parmatma aur Aatma juda hue bahu kaal,
Sunder vela aa gayajo Satguru mile Dayaal.

Duri bane hue time ho gayahai, isliye duri mitane me bhi time lagta hai. Vicharo ko Shri Mauj aurprarabdh ke anusaar badalna hota hai.

Sheikh  Farid ji likhte hain;-

Mai jana dukh mujh ko, dukh sabai jag.
Uche chad ke dekhia, Ghar ghar eho agg.

Means kuch napasand bato ko dekh kar ham samajhte hai ki yehamare saath hi ho rahi hain. Magar jab apni surti ko upar lejakar dekhte hainto pata chalta hai ki yeh to apne purv karmo ke anusaar sab ke saath hai. Aurise bhakti ki takat se asani se gujara ja sakta hai.

Hamare kuch ache karm bhi hain. Jiski vajah se hame yehdurlabh dehi aur Satpurushon ki Charan Sharan mili. Ek achhi ruh ko eksanskarvan patni se compare kiya ja sakta hai. Jo apne pati ki thodi kamai kobhi suljhe hue dhang se kharch karke apna ghar ko kabile tareef bana leti hai.Hamari surti ke paas bhi kimti swaso ka kuch dhan  hai. Yadi pralabdh se mile hue sukh dukh ko sumjankar hum apna time aur swans sewa sumiran me lagate hain .To hum apne sarekarmo ke net ko kat ker apne maalik se ekakar ho jate hain. Agar hum fijul kharchime apne time aur samratha ko waste kate rehte hain to khali ho jate hain.Invicharo par gaur karne ki jaroorat hai. 

Guru Nanak Dev ji Farmate hain;-

Jo sukh ko chahe sada, Sharan Ram ki le,
Keh Nanak sun re mana, Durlabh manush deh.

Manush janam ki durlabh opportunity ka labh uthana hai tohame apne vicharo ko mod kar Sache Gurmukh banana hai aur apna kalyaan karnahai.

Jab humare vichar badal jate hain to hamari problems bhibadal jati hain. Ramcharit manas me ek jagah Shri Hanuman Ji Shri Ram Ji sekehte hain;-

Kahe Hanumant vipati prabhu soi , Jab tav sumiran bhajan nahoi.

Ek dohe me yeh bhi Gurmukh ke bare me kaha hai ki;-

Gurmukh ke man sada khushi, Nit sewa bhakti ki pyaas.
Manmukh rahe nit jhoorta, kar vishyan ki aas.

Ham Sobhagyashali hain jinhen samey ke Puran Satpurushon kicharan Sharan naseeb hai. Hame  nityeprati shradha se Niyampurvak nishkam sewa evam sumiran karke aur dono samay PanchoNiyam pura karte hue sache marg par aage badhna hai , apna kalyan karna hai aurSatpurushon ki Prasannta prapt karni hai.

Yeh Satpurushon ke Anubhavi Vachan upar likhe hain. Vyakhyakarne ki chook ke liye das n das mafi ki benti arj karta hai.

Jai Sachidanand Ji.


BOLO JAIKARA BOLO MERE SHRI GURUMAHARAJ JI KI JAI

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.